Vigyan Jagat ki 5 Nayi Khoj - Jo Aap Nahi Jante

Hello dosto

Aaj mi aapko apne blog weather of money par vigyan ki dunia se juri kuch nayi khoj ke baare me btaunga. Aaj tak dunia me bhut saari khoje hui hi aur hoti rahengi. Insan ki yahi to khasiyat hi ki wo hamesa khoj me laga rahta hi usski jigyassa kabhi sant nahi hoti hi. Vigan ki dunia ki 5 nayi khoje niche likhi hui hi.
 science


Vigyan Jagat ki 5 Nayi Khoj


1. Saas ki jach se chalega Cancer ka pata

British scientist ne Canser ki jach ki disa me ek saandar kamyaabi hasil ki hi. wanha par scientist ke ek dal ne aisa upkaran tayar kiya hi jo ki saaas ki jach se starting time me hi lungs ke canser ki partal me sakshm hoga. Iss upkaran ka clinical trayal kiya ja rha hi. scientist ko ummid hi ki lung canser indicater ditaction ke jariye starting time me lung ke canser ki partal ka nya tarika ijad ho sakega. Upkaran banane wali cambridge ki company aaulstone  neno tech ka kahna hi ki 2020 tak lungs ki prathmik staar par pahchan present ke 14.5% se badhkar 25% tak pahuch jayegi.

2. Mars planet par tairte dikhe rahasyma badal

Mars planet par hui ek rahasya ghtna ne khgol vaigyaniko ko hairat me dal diya hi. Iss bar hairani ka karan lal planet mangal ki surface ke uppr rahasmayi vikraal badal ka dekha jana hi. March aur april  2012 me do alag alag mauko par gair pesewar khgolvido ne iss tarh ke chhtrinuma badalo ko dekhne ka dawa kiya hi. Dono hi mauko par mangal ke ek hi ilake me iss tarh ke badal dekhe gaye. Ye badal 250 km ki uchai tak tairte dikhe. !0 ghante se bhi kam time me devlop hue inn badalo ke daayre me 1000 gune 500km  ka ilaka aaya. Badal takriban 10 dino tak dekhe gaye the, lekin we 100km ki uchai se aage nahi gaye the. General "nature' me yah anusandhan prakasit kiya gya hi. Iss ke lekhk na btaya ki karib 250km par vaumandal aur baahari space ka vibhajan bhut halka ho jata hi. Aise me iss tarh ke badal anepechhit hi.

Isse bhi padhe

3.Polution se bachcho ki yadaast kamjoor hone ka khtra

Polution se sehat ka nuksaan to hota hi hai sath hi issse bachche ke dimag par sidha asaar padta hi. America me hue taja sodh me kaha gya hi ki jayada polution wale ilake me rahne se bachche ki yadaash kamjoor ho sakti hi. Usska IQ level bhi kam ho sakta hi. vaigyaniko ka kahna hi ki vau polution ek vishesh jin apolipo protin apisolon 4 ko prabhavit karta hi. Iss karan IQ ke level me 10 ank tak ki giraawat gho sakti hi. IQ me 10 anko ki giraawat bachche ke shaekshik aur samajik jivaan par nkaratmak asaar dal sakti hi. Vaigyaniko ke anusaar, aise log jo jivaan bhar poluted enviroment me rhte hi,unhe aljaimar aur dimaag se juri any bimaariya hone ka khtra jyada rahta hi.

4. Cancer rokne me madad karegi  H.P.V vacseen

Human paipiloma virus (H.P.V) vacseen na sirf sevical cancer balki dusre tarh ke cancer rokne  me bhi madadgar sabit ho rhi hi. vibhinn desho me karib 20,000 yuva par kiye gaye chikitskiye parikchhno me iss baat ke pramaan mile hi. Sodhkartao ki mutabik char saal tak ye parikkshan kiye gaye. Ladkiyo ko serviriks naam ki yah vacseen diye jane ke baad char saal tak unke health par nazar rakhi gayi. In ladkio ko H.P.V -16 aur 18 se puri tarh surakchhit aur any tarh ke H.P.v ke karan servical cells me hone wale badlavo se 50 se 100% tak surakchhit paya gaya hi.


5. Japan me robot chlayenge hotel

Japan me duniya ka pahla aisa hotel khul chuka hi jise robt chalayenge. Yah company Nagasaki me isse ''hen-na'' hotel naam se kholne ja rhi hi. ''hen-na '' ka english me matlab azib hota hi. Hotel me welcome, check in se lekar saamaan uthane aur chiza surve karne ka har kaam insaani aakaar prakaar wale robot karenge. Ye robot smile ke sath tea bhi bnayenge aur ye bhut saari language bolne me nipun honge. Hotel ka pahla hisssa 72 room ke sath khulega. Dusra hissa itne hi room ke sath agle saal dastak dega. Company ko ummid hi ki hotel ke 90% hisse ko robot chalane me sakchhm honge. Duniya me issi tarh ke 1000 hotel kholne ki company ki yojna hi.


Weather of money par Aapsab ko mera ye post kaisa laga comment bos me jaroor likhe.







  


EmoticonEmoticon