Hello Dosto
Aap sab ka mere blog ''Weather of Money'' me swagat hi. Aaj mi ek new post likhne ja rha hu jo aapke android phone ke baare me hi. Aaj mi aapko apne iss post me ye batane wala hu ki aap kaise apne android phone ki battery backup ko badha sakte hi. Aaj bhut saare logo ke pas smartphone hi lekin usske sath battery ki problem bhi hi. Aajkal ke mobiles ki battery 5 - 6 ghante se jyada nahi chalti hi. Aapko apne phone ko switch hone se bachane ke liye bhut saare tarike apnane padte hi jaise power bank, baar baar phone ko charge karna. Agar aapke sath bhi ye hi sab problem hi toh iss post ko jrurur padhe. Mi apne iss post me ye batane wala hu ki aap kaise apne android phone ki battery ko der tak use kar sakte hi.
Top 5 Ideas Android Phone ki Battery Backup badhane ka
1.Display ki Brightness ko kam kare
Mine display ki brightness ko kam karne ke liye isliye kaha hi kyonki kisi bhi phone ki battery chahe wo I PHONE hi kyon na ho sabse jyada battery display hi consume karti hi. Phone ki 40% - 45% battery display hi consume karti hi. Aapko apne phone ki brightness ko 40% se neeche rakhna chahiye ya phir auto mode me dal dijiye. Iss idea ko aapnane se aapke phone ki battery jyada der tak chalegi.Read also: Clixsense se 100$ Kaise Kamaye?
2. Live Wallpapers ka Use na kare
Battery down hone ka dusra bada karan live wallpeper hi hai. Mobile ki light off hone ke baad bhi Live wallpaper battery or RAM ka use karta rahta hi jiske wajah se aapke phone ki battery jaldi doen ho jati hi. Aapko apne mobile par koi still image lagani chahiye jisse aapke phone ki battery bachegi aur jyada der tak chalegi.3. Background Data ko restrict kar de
Aapke phone me kuch aap aise hote hi jo close karne ke baad bhi data ka use karte rahte hi Aur background me ran karte hi. Isse aapki battery jaldi discharge hoti hi.Battery ke discharge hone ka tissra bada karan yah hi ki aap background data ko restrict nahi karte. Agar aap background data ko restrict kar de toh aapka data bhi save ho jayega aur battery bhi.4. Wifi ka use kare
Aapko apne mobile par wifi se net chlana chahiye kyonki phone me data se net use karne ke bajay agar aap wifi ka istemal karte hai toh isse aapki battery bachegi aur jyada der tak chalegi. Kyuki wifi ka network aur cellular network ki frequency me bahut difference hota hai. Sayad aapko pata na ho ki wifi use karne par battery bhut kam amount me consume hoti hi, Jabki cellular network me jyada battery consume hoti hi. Islie net chalane ke lie wifi ka use kare.5. Off to Auto-Sync
Phone battery discharge hone ka sabse bada karan hi Auto-Sync. Aapke phone me backup ke liye auto sync agar on hai toh off kijiye kyuki jb aap phone nahi bhi use karte hai toh yah synchronization chalta hi rhta hai .Aur aapki battery bhi consume hoti rhti hai . isliye isko off rakhne se aapki battery 30% jyada der tak chlti hai. Islie aapko Auto-Sync ko hamesa off rakhna chahiye. Ye tarika aapki battery ko discharge hone se bachata hi.6.Airplane mode
Airplane mode ka use karne se battery jaldi charge ho jata hi. charging ke time par airplane mode ka use kare.
EmoticonEmoticon