SEO Kya Hi Ki Puri Jankari Hindi Me

Hello Dosto,

Aaj mi aapko apne blog Weather of money par SEO kya hi isske baare me janakari dene ja rha hu. SEO ki puri janakari mi aapko hindi me batane ja rha hu jo hmare desh ki Mother language hi. SEO ka full form 'Search Engine Optimization hi. Hame SEO ki jarurat kyon hoti hi. SEO ek aisa process hi jiska use karke hum apni ko search engine me rank karte hi. Hum apne website ki traffic badhane ke lie SEO ki madad se apne website ko Google me rank karte hi.
Seo

Kya hi SEO?


Jab bhi hame apne Blog par Traffic bdhna hota hi to hum apne bl;og ko promote karte hi taki hamare blog par traffic badh sake. Apne blog ko search engine par promote karna hi SEO khalata hi.


Hume SEO Ki jaroorat kyon hi

Aaj ke time pe online  business ka internet par bhut vistaar ho chuka hi. Hamaare kam ki har chiz internet par mil jati hi. Agar aapke pas apna website hi to aap apna online business chala sakte hi. lekin aapke website ki google par rank acchi nahi hogi tab tak appki website par visitors nahin aayenge aur aapka business successful nahi ho payega.

Search Engine Optimization (SEO) Process

Jaisa ki aap jante hi Search Engine Optimization ka use hum Google me acchi rank paane ke lie karte hi.Lekin sayad aapko ye pata nahi hoga ki SEO two types hota hi.
1. ON-page SEO
2..Off-page SEO

Ab mi aapko in dono types ke SEO ke baare me  detail batane ja rha hu.

                                ON-page SEO

ON page SEO apne aap me ek bhut bada topic hi. On page SEO ka matlab ye hai ki aapko apni website ko Google ke niymo ke antargat banana hi.Hum apni website ko ON page SEO me edit karke aisa banate hi ki Google use aasani se padh sake. Visitors bhi website ki taraf attract ho jisse hamari website ki visitors ke number me vrridhi hogi. On page SEO me aapko kya kya karne chahiye ye mi aap ko batane ja rhe hu.

ON page SEO par kya karna chahiye

1.website ki speed par dhyan dena chahiye

  • Jiski bhi website ki speed 1-5 second ke bich hoti hi usski website ko fast mana jata hi.
  • Jiski bhi website ki speed 5-10 second ke bich hoti hi usski website ko average mana jata hi. Aapko isko thik karne ki jaroot hi.
  • Jiski bhi website ki speed 10 second se jyada time leta hi usski website bhut hi slow hi use turant koi kadam uthane ki jaroorat hi. Isko thik karne ke lie.
Read also:Kaise Indian Amazon Affiliate Program ke sath paise kmaye

Website slow kyon hoti hi

Agar aap ne apni website me bhut sari images load kar rakhi hi to ye bhi ek karan ho sakta hi appki website ke slow hone ka. Agar app bhut saare javascript code bhar dete hi to ye bhi ek karan hi. Aapko apni website par kam se kam images load karne chahiye ya phir images ka size chhota hona chahiye aur java script ka prayog kam se kam kare. Aisa karne se aapki website ki speed badh jayegi.

2. Meta Description par dhyan dena chahiye

Hamari website kis subject par base hi, jaise- Money, business, tricks, story, tourism etc. Meta Description ka use karke hum apni website ko Google ko describe karte hi.

3. Keyword Density par dhyan

Keyboard density ka matlab hi ki aapke content me keyword kitni bar reapeat hua hi. Aapke content me keyword density sirf 5% hi honi chahiye agar isse jyada hoga to aapke website ke lie accha nahi hoga.

4. Tittle Tag Par dhyan

Jab bhi kisi website ko rank kiya jata hi toh ussme tittle tag ka bhu bada aur important bhumika hoti hi. aapka tittle tag jitna jyada optimize hoga utna hi jyada aapko labh hoga.

Accha tittle bnane ka tarika

Aap jo bhi tittle bnaye uska character lenth 70 se jyada nahi honi chahiye. Aapko ye dhyan rakhna hi ki tittle tag me aapka main keyword ek baar jaroo aaye. Aapke content me ek keyword bar bar nahi aaye kyonki Google ki najro me ye spam hi.

5. Hidden content par dhyan

Aapki website par koi hidden content nahi honi chahiye. Bhut saare log Google par acchi rank paane ke lie apne content ko page par dal dete hi aur usse hide kar dete hi. Jisse hota ye hi ki jab bhi koi visitor uss site par padhne aata hi toh usse hid wala content nahi dekh pata. Google ko aisa hidden content bilkul bhi pasand nahi hi.

6. URL Structure par dhyan

Sayad aapko pata na ho ki aapke post ke URL ka link aapko Google par rank up karne me madad karta hi. aapko apne post ka URL aisa rakhna hi jisse ki Google ko pata chal jaye ki ye post kis topic se related hi.

7. Internal Links

Aap apne post me kisi aur post ki link bhi laga sakte hi lekin inki sankhya 5 se jyada nahi honi chahiye. agar aapke post me internal links ki sankhya jyada hogi to readers ko padhne me presani aayegi.

8. Responsive Website ka use

Responsive website uss website ko kahte hi jo mobile ya destop kisi par bhi khulte hiapni hight aur width device ke according set kat le. Mobie visitors ko responsive website par koi presani nahi hoti vo aasani se read kar sakte hi. Responsive website ko mobile par khulne par jyada time nahi lagta hi.


9. Post Length par dhyan

Aap apni website par jitna jyada information denge utna hi aapki rank Google par badh jayegi. Iska ye matlab nahi hi ki aap apni post me kuch bhi likh de. Aapko uss topic se related hi sari janakari deni hogi. Kuch bhi likhne se aapki rank nahi badhegi. Aapko apni post me 1000 words likhne ki koshish karni chahiye. Aapki post me informative content hona chahi ye.

                          2. Off Page SEO

Jab off page ki bat karte hai to main focus aa jata backlinks par. Backlinks ek tarh se aapki website ko support karne ka kam karta hi. Aapke pas jitne jyada quality blacklinks hogi utni jyada Google ki najro me aapki website ki ijjat badegi. Off page SEO me kya kya karna hi. Mi aapko btata hu.

1. Search Engine submission

Yahoo, MSN, Alexa, Altheweb, Google etc par apne website ko subbmit kar dijiye. Isse apni website ko rank kar payenge.

2. Apne Keyword ka prayog kare

Aapko apne keyword se post ko likhne ki surooat karni chahiye. Aapke website ki rank ko badhne me aapke dwara use kiya gya keyword ka bhut bara hath hota hi. Isse aapke website ki rank bhut speed se badhti hi.Aapko apne keyword ko heading tags me bhi use karna chahiye.

3. Bookmarking Websites ka prayog

Mi aapko bta du ki bookmrking websites ki catching frequencyother websites se jyada hoti hi. Aap apni websites ko newsvine.com, reddit.com, digg.com jaise acchi website par submmit kare.Aap ko internet par iss trah ki thousands websites mil jayengi. Aap ko ek bat ka dhyan rakhna hi ki aap ko apni website ko ek din me 20 se jyada website par bookmarking nahi karni hi. Ye aapke website ke lie accha nahi hoga.

4.Facebook page bnaye

Facebook ek aisi online website hi janha kroro log ek dusere se jude huye hi. Facebook dunia ki sabse badi social networking site hi. Agar aapko apni website par visitor ki sankhya bdhani hi to facebook se acchi website koi aur nahi ho sakti hi. Iske lie aapko sirf ek facebook page bnana hi aur uss par kuch acchi images upload karni hi. ye bilkul bhi jroori nahi hi ki aap sirf website ke baare me hi post kare. Aap kuch bhi post kar sakte hi jisse logo ko entertainment ho. jisse ki wo aapke page ko llike kare. Daily aapko kuch na kuch post karte rahna hi.

5. Google+ ka use kare

Google+ google ke dwara bnaya gya social networking platform hi. Jiska istemal hum apne followers ko badhne ke lie kar sakte hi. Aapko Google+ par apna ek attractive profile banana hoga.

6. Blog par Comment kare

Aapko kuch acche traffic wale blogs par jakar comment karna hi aur comment box me apne URL daal de. yha se aapko accha traffic mil sakta hi.

7. Guest post submit kare

Jo blog aur website popular ho chuke hi aapko unn website par apna guest post submit karna hi.isse log aapko janane lgenge aur aapki website ya blog par traffic badhna shuroo ho jayega.            

8. Directory submission

Internet par bhut sari aise site hi janha aap apne blog ke URL ko submit kar sakte hi jisse ki aapko blacklinks milte hi.

9. Artical submission

Directory submission ki tarh hi bhut sari aisi site bhi hoti hi janha par aap apna blog ko submit kar sakte hi jisse se aapki blog ki traffic badh jati hi.

10. Video submission

aapko apne blog se related video Youtube upload karna hi jisse aap ke blog par traffic badh jati hi.

Dosto agar aapke mann me SEO ( Search Engine Optimization) ko lekar koi question hi toh aap comment me likh sakte hi.


EmoticonEmoticon