Hello Dosto
Aaj mi aapko apne blog Weather of Money par Camera ke 7 aise kaam ke baare me btane wala hu jo aap nahi jante honge. Aap sab ko pata hi hoga ki camera photo lene ke liye bana hi aur aap bhi apne smart phone ke camera se photo hi lete hoge. Camera se photo lene ke alava bhi bhut saare kam kiye ja sakte hi. Aaj mi aapko apne blog mi kuch aisi tricks btaunga jo sayad aap nahi jante honge. Isko janne ke bad aap apne camera ko aur bhi adhik use kar payenge.ये 5 काम भी कर सकता है फोन का कैमरा फोटो खींचने के अलावा
1.# Document Scanning
Aap apne phone ko document scanner ke roop me bhi istemaal kar sakte hi. Aap kisi bhi document ko scan karke usse pdf me badal sakte hi. Aap document me likhe text ko Edit bhi kar sakte hi. Google drive ki android aap me bhi scanning facility hi. Isske liye aapko kisi app ko alag se download karne ki jaroorat nahi hi. Agar aap alag se aap download karna chahte hi to aap camscanner. scanbot ko bhi download kar sakte hi.
2.# Apni bhasha me translate kare
Aap apne smartfone ke camera ki help se aap kisi bhi bhasa ko apni mother language me change kar sakte hi. Aap kisi bhasha ke text ko apne apni bhasha me translate kar sakte hi.
Translate karne ka kaam Google translate karta hi. Aapko apne android phone me Google translate download karna padega. Isske bad aapko Google translate app ko open karna hi. Open karne ke bad aapko screen par aapko camera icon dikhega aapko uss par click karna hi. Click karne ke baad camera on ho jayega. Aapko camera ko uss image ya text ki tarf lejana hi jisko aap apni bhasa me translate karna chahte hi . Aapka kaam turant ho jayega.
Aap issme sabhi bhasa ko translate nahi kar sakte lekin yah aap bhut sari bhasa ko support karta hi. Jo photo aap pehle se bhi kich rakhi ho aap ussko bhi apni bhasa me tarnslate kar sakte hi. Google translate jaise hi aapko bhut saare aap mil janyenge.
3.# Aasmaan me taare dekhna
Aap soch rhe honge ki hum phone se aasmaan metaare kaise dekh sakte hi. MI aapko btadu ki internet par bhut saari app aisi hi jo aapko aasmaan me taare dekhne jaise feeling de sakti hi. Aap apne phone me mixxed reality app ko download karke apne phone ko aur majedaar bna sakte hi. Aapko karna bas itna hi ki aapko sky view naam ka app download karna aur usse install karna hi. Install karne ke baad mobile ko aasmaan ki tarf kijiye. Iss app ki help se aap taro ko pehchan sakte hi. Aapko aisa karne me bhut maja aayega aur aapko khushi milegi.
Read also
- Internet se 10000 se 15000 Rupay Mahina kaise kamaye
- Top 5 Ideas Android phone Ki Battery Backup badhne ka
- Clixsense se 100$ Kaise Kamaye?
4.# Barcode scanner
Aapke phone ka camera barcode ko bhi scan kar sakta hi. Aap apne mobile phone ki help se BARCODE aur QR code ko scan kar sakte hi. Agar aapko kisi product ki janakari nikalni hi toh usske barcode ko scan kijiye, aapko uss product ki puri janakari mil jayegi. Aapko play store aise bhut saare app mil jayenge jo barcode ko turank scan kar ussme likhi janakari ko text me badal dete hi. Aap ko aisa karne ke liye barcode scanner, QR code scanner jaise app download kar sakte hi.
5.# Security Camera
Aap apne purane phone se security camera bna sakte hi sayad aapko pata nahi hoga. Mi aapko bta du ki aap apne purne phone ko security camera me change kar sakte hi. Isske lie aapko jayada kuch karne ki jaroorat nahi hi bas aapko ek Security camera app download karna hoga. Isske lie aapko apne phone ko wifi se jorna hi aur usske bad phone ko uss place par rakh dijiye janha ki aapko security karni hi. Ek baar aapke computer se connect hone ke baad isski saari recording aapke computer me save ho jayegi.
EmoticonEmoticon