Computer me Internet ki Speed kaise badhaye Best 8 tarike

Hello Dosto

Aaj mi aapko apne iss post me internet ki speed badhane ke baare me bataunga. Aapsab ko bhi kabhi na kabhi iss problem ka samna karna pada hoga. Jab internet slow hota hi toh hame bhut gussa aata hi aur mann karta hi ki computer hi tod de. Lekin hum aisa nahi kar sakte kyoki computer tod denge toh internet kaise chlayenge aur mere inn tariko ko kaise istemal kar payenge. Bhut baar aisa hua hoga ki jab aap computer pe kaam karne baithe honge tab internet ki speed bhut slow ho jati hi. Kya aapke internet ki speed slow hi, kya aap internet ka plan bina badle hue internet ki speed badhana chahte hi. Aapko sabse pehle ye janna hoga ki internet ki speed slow kyo hoti hi. Internet ki speed ke slow hone ke bhut saare karan ho sakte hi. Ek karan aapke computer ka operating system bhi ho sakta hi.Apke computer mein lage network card, network cable, router, broadband modem aur
doosri devices internet slow hone ki wajh ho sakti hi. Ye ek bhut bari problem hi. Aaj mi issi ka solution baatane ke lie iss post ko likh rha hu.
 internet speed

Computer me Internet ki Speed kaise badhaye Best 8 tarike


1. Computer se Virus Remove kare

Aajkal lagbhg sabhi ke computer me virus hote hi. Virus ka aasar aapke computer par bhi padta hi. Jiske wajah se aapka computer to slow to hota hi hai usske sath sath aapka internet bhi slow ho jata hi. Computer se virus hatane ke lie antivirus download kare. Internet par bhut saare free antivirus bhi hi. Jisko aap download karke apne computer me install kar sakte hi. Install hone ke bad aapko apne computer ko scan karna hi. Scan hone ke baad aapke internet ki speed badh jayegi. Antivirus ko apne computer me install rehne de. Hosake to ek naya antivirus khreed le.

Read also

2. Web Browser Change kare

Internet ki speed slow hone ka dussra karan web browser bhi ho sakta hi. Agar aap internet chalane ke lie  internet explorer  ka use kar rhe hi to usse band kar de. Internet explorer se internet slow chalta hi. Aapko internet explorer ki jagah Chrome browser, Firefox, Opera, ka use kare. Aap inn tino me se kisi ka bhi use kar sakte hi internet chalane ke lie. Chrome Browser baki dono se jyada accha hi. Islie aap chrome browser ka use kare.

3. Network Card Change kare

Internet ki speed slow hone ka tisra karan hi Network Card. Agar aap computer me net chalane ke lie wireless network ka use karte hi to isse use karna band kar dijiye. Isski jagah par wire natwork ka use kare. Desktop  ke lie wire wali networking hi sabse acchi hoti hi. Isslie wire network ka hi use kare. Wire network me aapko ek baar taar lagana hota hi usske bad kuch bhi karne ki jaroorat nahi hi. Wire network me internet slow hone ka chance bhut hi kam hota hi. Issme internet ki speed tej hi rhati hi.



4.Apne Modem ka Test kare

Modem ke karan bhi internet slow ho jata hi. Bhut baar aap khraab quality ka Modem istemal karte hi. Aapka Modem khraab hi ya nahi pata lagane ke lie apne modem ko laptop se connect kare. Laptop me bhi agar aapke internet ki speed slow rahti hi to apne modem ko change kar de ya phir isse thik karwaye.

5. Computer ke Operating system ko Change kare

Bhut saare log apne computer me purana operating system use karte hi. Jiske wajah se hamaare computer ka internet slow ho jata hi. Agar aapko apne computer ke internet ki speed ko badhana hi toh aapko apne computer ke operating system ko change karna padega. Internet ki speed badhane ke liye apne computer me Windows7, Windows8 ya Windows10 me se aap koi bhi install kar sakte hi aur apne computer ki internet speed badha sakte hi.

6. Doosre electronic device ko Modem se dur rakhe

Apke computer ke pas jo modem laga hai usske pas aisi device nahi rakhen jis me se electromagnetic radiation nikalti ho. Bhut saare log apne iphone, ipad, mobile ko modem ke paas hi rakh dete hain. Aisa bilkul bhi nahin karna chahiye. In device ko modem se door rakhen jisse modem aur doosri device ki radiation aap mein takrakar internet ki speed  slow nahin kar de. Sidhe sabdo me kahe to aapko eletric devices ko modem se door rakhna chahiye.

Read also

7. Wire change kariye

Agar aapke computer ke internet ki cable purani ho chuki hi to aapko ussko badal dena chahiye isse aapke computer ke internet ki speed badh jayegi.


8. Computer aur Modem ko Restart karen

Jab bhi hum internet chalate hi toh hame time ka pata hi nahi chalta  aur hammra computer bhut garam ho jata hi. Iss karan computer ke internet ki speed slow ho jati hi. Computer ke internet ki speed ko badhane ke liye aapko computer aur modem ko dubaara se start  karna chahiye. Computer aur modem ko restart kare. Usske bad internet ki speed badh jayegi.

Aap sab ko mera ye post kaisa laga comment box me jaroor likhe. comment box me question bhi likh sakte hi jo iss post se related ho.   





EmoticonEmoticon