Kaise Indian Amazon Affiliate Program ke sath paise kmaye

Hello Dosto

Mai aaj aapko apne Blog Weather Of Money ke madhyam se Indian Amazon Affiliate program ke baare me batne ja rha hu ki kaise aap Amazon Affiliate Program ke sath bhut saare paise bana sakte hi. Business ideas dene ke lie hi maine Weather of Money website banai hi.

Agar Indian Affiliate marketer ko foregin ke affiliate network jaise Commission Junction or Clickbank se paise banane me difficult ho rahi hi toh aapke pas ek accha mouka hi Indian Affiliate Program  Amazon.in se paise kamane ka.

Indian Amazon Affiliate Program ke saath paise kamane me bhut assani hi agar aapke pas pehle se affiliate marketing ke baare me experience hi toh aap iss kam ko assni se kar sakte hi.

mai asha karta hu ki appke pas Affiliate Marketing ki basic samajh  hogi  kyonki mi aapko ye nahi batne ja rha hu ki affiliate marketing kya hi. janne ke liye uper wali link par click kare.

Kaise Indian Amazon Affiliate Program sabse se alag hi



  • Indian customers ke lie Amazon sirf cash on delivery ka option deti hi. aapko COD ke   liye extra RS 39  dene pdenge.
  • appne jitna bhi product apne blog ya website se becha hi usska appko Amazon 10% deti hi jo baki ke sabhi affiliate networks se jyada hi.
  • Flipkart ke affiliate program se appko sirf 6% hi milte hi jabki amazon se appko 10% milta  hi.
  • appki monthly income ko aapke pas tak phuchane ke lie amazon check bhejta hi. jitna bhi  aapne uss month me earn kiya ho.
Amazon



Kaise sign-up kare aur Affiliate link prapat kare


Amazon par sign-up ka trika bhut hi assan hi. appko sign-up karne ke lie Affiliate link ka use karna hoga. sign-up ke bad aapko affiliate link milenge jisko aapko apne site, social media ya  blog par promote karna hi.

app assani se apna link apne dashboard se bna sakte hi. aapka link ek HTML code hota hi. jabbhi app kisi product ko chose karte hi toh aapko uss product ki ID milti hi. jise product ID kahte hi.

ab product ki  ID aapke amazon ki ID se combined ho jati hi. aur ek HTML link banati hi. jisme aapki amazon ID juri hoti hi.

ye sab kuch karna assan hi agar aap isske procrdure ko follow kare.

Read also: SEO Kya Hi Ki Puri Janakari Hindi Me

Appko sahi Product ko kaise choose karna hi


Aapka agla important kadam ye hona chahiye ki aap ek sahi product ko choose kare. aapko aisa product ko choose karna hoga jisko online customer like kare.

aap ko accha product choose karne se pehle in chijo par dhyan dene ki jaroorat hi


  •  appka product iss type ka hona chahiye jis type ka aapka blog hi. mere kahne ka matlabb yah hi ki agar aapka blog mobile phones or Gadgets se related hi to aapko  apne blog par mobile phones ke ads, laptops or Ebooks ke ads dikhane chahiye.
  •  Aap ko aisa product select karna hoga jiski quality acchi ho. aapko aisa product select  karna hi jisko log buy karna pasand karenge. aapko koi product accha lage aur aap ye  soche ki log bhi isse buy karna pasand karenge toh ye aapki bhut baari galti hi
  • Jo bhi product aapne apne blog par promote kiya hi usski jo cost hi usske anusar aapko  aapki commission milegi.
  • Aur bhi log apne blog par ap ke jaise hi same product ko promote karte hi. aapke unke  sath competition ho sakta hi. competition se bachne ke  liye aapko aisa product select karna chahiye jiski market me demand ho lekin others bloggers ne isse promote na kiya ho. Par aisa kam hi hota.



Apne  Product ko kaise promote aur sell kare


yahan par bhut saare raste hi apne product ko promote aur sell karne ke par mai aapko bhut hi common aur simple raasta btaunga jisko aap aasani se kar sake.

Aap apne affiliate links ko blog, youtube videos, ppc forms, paid advertisements aur kisi aur channels ke madhyam se promote kar sakte hi.

mi aapko ye advice nahi de rha hu ki aap Google Adwords ka prayog kare. Google Adwords traffic ke liye accha hi lekin aapko iske lie pay karna hoga kyon ki ye paid service hi.

Agar aap Google Adwords ko afford kar sakte hi toh aap iska prayog kare nahi toh aap koi free blog ya website traffic ke liye chun sakte hi. aapke pas do raste hi ya toh aap website ya phir blog ke madhyam se apne product ko promote kare.



Branded Blog ki jaroorat


Sabse pehle toh aapko ek high authority blog ki jaroorat hi. Mera matlab ye hi ki aisa blog jis par visitors ki sankhya bhut acchi ho. daily 2 to 3 thousand visitors aate ho usse accha blog kahte hi.

Isslie agar aap ye soch rhe hi ki aap apne product ko apne blog ke madhyam se promote karenge toh aapko pehle apne blog ko uss level ka bnana hoga.

Sabse pehle aapko apna bhut saara time apne blog par traffic lane ke lie spend karna hi. Tab aap apne amazon affiliate product ko bech sakte hi.

Affiliate marketer ke lie Branded blogs acche hote hi. ye business ko lambe time tak chlate hi. Agar aapke pas ek great blog ya website hi toh aap iss raste par chal sakte hi.


Niche Blog


Agar aap new blogger hi tab aap kya kar sakte hi? kyonki aap ke pas to koi branded blog to hoga nahi. Aap apne blog par traffic paane ke lie wait nahi kar sakte kyonki aap ke pas bhut kam time hi. isslie sabse accha rasta ye hi ki aap niche blog bnae jo sabse se jyada target kiya jata hi.

Agar aap ka blog Gadgets ke baare me hi aur aap ka affiliate product Moblie phone hi tab aapko sirf mobile phone ke baare me likhna chahiye. Aap ko kisi aur gadgets ke baare me nahi likhna chahiye jaise - tablets or laptops.

asal me aapko sirf smart phones ke baare me likhna chahiye aur aapko kisi aur mobile phones ke baare me nahi likhna chahiye.

Bhut hi jald aap ka blog readers ke targets par aajayega aur aap apne products kuch weeks me sell karna start kat sakte hi.


Youtube aur Social Media


Agar aap video bna sakte hi tab Youtube bhi aapke product ko promote karne ke lie accha madhyam hi. same time par aap Facebook aur social bookmarking se bhi traffic pa sakte hi. Iss tarike se log aapka promote ki hua product facebook aur youtube par bhi dekh sakte hi.


Amazon Affiliate Network ki vishestaye


  • bhut saare trah ke product ki ek vishal list hi. jisme har trah ke product ke naam hi.
  •  Iss network ka sabse bra fayeda yah hi ki agar koi buyer aapki affiliate par click karta hi aur wo koi aur product buy karta hi tab bhi aapko utna hi commission milega jitna ki aapko us product par milta.
  • Agar aap product ko regularly sell kar rhe hi toh Amazon aap ka commission badhane ko taiyar hi.


Phir bhi ek chij hi jo mujhe affiliate network ke baare me pasand nahi hi. we payment 3 mahine me ek bar karte hi isska matlab ye hi ki agar aapne iss mahine RS 6000 earn kiye hi toh aapko ye paise 3 mahine bad milenge ya phir tisre mahine me milenge.

Ek aur chij hi jise mi pasand nahi karta hu ki ve sidha paisa aapke bank me nahi dalte. aapko paise check ke madhyam se milte hi.

Indian affiliate marketers ke lie Amazon Affiliate Network ek accha mauka hi paise earn karne ka. ab aap log iss network ka istemal kare aur paise earn kare.

Agar aapke man me koi swaal hi toh niche comment box me likh de  aur mujhe ye bhi btaye ki aapko meri website Weather Of Money kaisi/kaisa laga.



1 comments:


EmoticonEmoticon